میں شاید تم کو یکسر بھولنے والا ہوں شاید جان جاں شاید - John Elia

0

 

میں شاید تم کو یکسر بھولنے والا ہوں  شاید جان جاں شاید - John Eliamain shayad tum ko yaksar bhulne wala hun  shayad jaan-e-jaan shayadarbab-e-wafaa,arbabewafaa,Sad urdu poetry,urdu potery,romantic urdu potery,urdu,potery,hamariweb,urdu shayari,best urdu poetry,	poetry sms,shayari urdu,urdu poetry,sad poetries in urdu,urdu status,full sad poetry sms urdu,sad poetry,2 line urdu english poetry sms,sms shayari urdu new 2022 offline

میں شاید تم کو یکسر بھولنے والا ہوں

شاید جان جاں شاید


کہ اب تم مجھ کو پہلے سے زیادہ یاد آتی ہو

ہے دل غمگیں بہت غمگیں


کہ اب تم یاد دل دارانہ آتی ہو

شمیم دور ماندہ ہو


بہت رنجیدہ ہو مجھ سے

مگر پھر بھی


مشام جاں میں میرے آشتی مندانہ آتی ہو

جدائی میں بلا کا التفات محرمانہ ہے


قیامت کی خبر گیری ہے

بے حد ناز برداری کا عالم ہے


تمہارے رنگ مجھ میں اور گہرے ہوتے جاتے ہیں

میں ڈرتا ہوں


مرے احساس کے اس خواب کا انجام کیا ہوگا

یہ میرے اندرون ذات کے تاراج گر


جذبوں کے بیری وقت کی سازش نہ ہو کوئی

تمہارے اس طرح ہر لمحہ یاد آنے سے


دل سہما ہوا سا ہے

تو پھر تم کم ہی یاد آؤ


متاع دل متاع جاں تو پھر تم کم ہی یاد آؤ

بہت کچھ بہہ گیا ہے سیل ماہ و سال میں اب تک


سبھی کچھ تو نہ بہہ جائے

کہ میرے پاس رہ بھی کیا گیا ہے


کچھ تو رہ جائے

جون ایلیا

main shayad tum ko yaksar bhulne wala hun

shayad jaan-e-jaan shayad


ki ab tum mujh ko pahle se ziyaada yaad aati ho

hai dil ghamgin bahut ghamgin


ki ab tum yaad dildarana aati ho

shamim-e-dur-manda ho


bahut ranjida ho mujh se

magar phir bhi


masham-e-jaan mein mere aashti-mandana aati ho

judai mein bala ka iltifat-e-mehramana hai


qayamat ki KHabar-giri hai

behad naz-bardari ka aalam hai


tumhaare rang mujh mein aur gahre hote jate hain

main Darta hun


mere ehsas ke is KHwab ka anjam kya hoga

ye mere andarun-e-zat ke taraj-gar


jazbon ke bairi waqt ki sazish na ho koi

tumhaare is tarah har lamha yaad aane se


dil sahma hua sa hai

to phir tum kam hi yaad aao


mata-e-dil mata-e-jaan to phir tum kam hi yaad aao

bahut kuchh bah gaya hai sail-e-mah-o-sal mein ab tak


sabhi kuchh to na bah jae

ki mere pas rah bhi kya gaya hai


kuchh to rah jae

Jaun Eliya

 

 

Tags

Post a Comment

0 Comments
* Please Don't Spam Here. All the Comments are Reviewed by Admin.
Post a Comment (0)

buttons=(Accept !) days=(20)

Our website uses cookies to enhance your experience. Learn More
Accept !
To Top