تمہاری یاد مرے دل کا داغ ہے لیکن سفر کے وقت تو بے طرح یاد آتی ہو برس برس کی ہو عادت کا جب حساب تو پھر - John Elia

0

 

تمہاری یاد مرے دل کا داغ ہے لیکن  سفر کے وقت تو بے طرح یاد آتی ہو  برس برس کی ہو عادت کا جب حساب تو پھر-John Eliatumhaari yaad mere dil ka dagh hai lekin  safar ke waqt to be-tarah yaad aati ho  baras baras ki ho aadat ka jab hisab to phir  bahut satati ho jaanam bahut satati hoarbab-e-wafaa,arbabewafaa,Sad urdu poetry,urdu potery,romantic urdu potery,urdu,potery,hamariweb,urdu shayari,best urdu poetry,	poetry sms,shayari urdu,urdu poetry,sad poetries in urdu,urdu status,full sad poetry sms urdu,sad poetry,2 line urdu english poetry sms,sms shayari urdu new 2022 offline

تمہاری یاد مرے دل کا داغ ہے لیکن

سفر کے وقت تو بے طرح یاد آتی ہو

برس برس کی ہو عادت کا جب حساب تو پھر


بہت ستاتی ہو جانم بہت ستاتی ہو

میں بھول جاؤں مگر کیسے بھول جاؤں بھلا

عذاب جاں کی حقیقت کا اپنی افسانہ

مرے سفر کے وہ لمحے تمہاری پر حالی

وہ بات بات مجھے بار بار سمجھانا


یہ پانچ کرتے ہیں دیکھو یہ پانچ پاجامے

ڈلے ہوئے ہیں کمر بند ان میں اور دیکھو

یہ شیو بکس ہے اور یہ ہے اولڈ اسپائس

نہیں حضور کی جھونجل کا اب کوئی باعث


یہ ڈائری ہے اور اس میں پتے ہیں اور نمبر

اسے خیال سے بکسے کی جیب میں رکھنا

ہے عرض ''حضرت غائب دماغ'' بندی کی

کہ اپنے عیب کی حالت کو غیب میں رکھنا


یہ تین کوٹ ہیں پتلون ہیں یہ ٹائیاں ہیں

بندھی ہوئی ہیں یہ سب تم کو کچھ نہیں کرنا

یہ ویلیمؔ ہے اونٹلؔ ہے اور ٹرپٹیؔ نال

تم ان کے ساتھ مری جاں ڈرنک سے ڈرنا


بہت زیادہ نہ پینا کہ کچھ نہ یاد آئے

جو لکھنؤ میں ہوا تھا وہ اب دوبارہ نہ ہو

ہو تم سخن کی انا اور تمکنت جانم

مذاق کا کسی انشاؔ کو تم سے یارا نہ ہو


وہ جونؔ جو نظر آتا ہے اس کا ذکر نہیں

تم اپنے جونؔ کا جو تم میں ہے بھرم رکھنا

عجیب بات ہے جو تم سے کہہ رہی ہوں میں

خیال میرا زیادہ اور اپنا کم رکھنا

ہو تم بلا کے بغاوت پسند تلخ کلام

خود اپنے حق میں اک آزار ہو گئے ہو تم

تمہارے سارے صحابہ نے تم کو چھوڑ دیا

مجھے قلق ہے کہ بے یار ہو گئے ہو تم


یہ بینک کار منیجر یہ اپنے ٹیکنوکریٹ

کوئی بھی شبہ نہیں ہیں یہ ایک عبث کا ٹھٹھول

میں خود بھی ان کو کرومیگنن سمجھتی ہوں

یہ شاندار جناور ہیں دفتروں کا مخول


میں جانتی ہوں کہ تم سن نہیں رہے مری بات

سماج جھوٹ سہی پھر بھی اس کا پاس کرو

ہے تم کو طیش ہے بالشتیوں کی یہ دنیا

تو پھر قرینے سے تم ان کو بے لباس کرو


تم ایک سادہ و برجستہ آدمی ٹھہرے

مزاج وقت کو تم آج تک نہیں سمجھے

جو چیز سب سے ضروری ہے وہ میں بھول گئی

یہ پاسپورٹ ہے اس کو سنبھال کے رکھنا

جو یہ نہ ہو تو خدا بھی بشر تک آ نہ سکے

سو تم شعور کا اپنے کمال کر رکھنا


مری شکست کے زخموں کی سوزش جاوید

نہیں رہا مرے زخموں کا اب حساب کوئی

ہے اب جو حال مرا وہ عجب تماشا ہے


مرا عذاب نہیں اب مرا عذاب کوئی

نہیں کوئی مری منزل پہ ہے سفر درپیش

ہے گرد گرد عبث مجھ کو در بہ در پیش

جون ایلیا

 

tumhaari yaad mere dil ka dagh hai lekin

safar ke waqt to be-tarah yaad aati ho

baras baras ki ho aadat ka jab hisab to phir

bahut satati ho jaanam bahut satati ho

main bhul jaun magar kaise bhul jaun bhala

azab-e-jaan ki haqiqat ka apni afsana

mere safar ke wo lamhe tumhaari pur-haali

wo baat baat mujhe bar bar samjhana

ye panch kurte hain dekho ye panch pajame

Dale hue hain qamar-band in mein aur dekho

ye shawe-box hai aur ye hai old spice

nahin huzur ki jhonjal ka ab koi bais

ye Diary hai aur is mein pate hain aur number

ise KHayal se bakse ki jeb mein rakhna

hai arz hazrat-e-ghaeb-dimagh bandi ki

ki apne aib ki haalat ko ghaib mein rakhna

ye tin coat hain patlun hain ye Taiyan hain

bandhi hui hain ye sab tum ko kuchh nahin karna

ye william hai 'onTal' hai aur 'TarpaTi-nal'

tum in ke sath meri jaan drink se Darna

bahut ziyaada na pina ki kuchh na yaad aae

jo lucknow mein hua tha wo ab dobara na ho

ho tum suKHan ki ana aur tamkanat jaanam

mazaq ka kisi 'insha' ko tum se yara na ho

wo 'jaun' jo nazar aata hai us ka zikr nahin

tum apne 'jaun' ka jo tum mein hai bharam rakhna

ajib baat hai jo tum se kah rahi hun main

KHayal mera ziyaada aur apna kam rakhna

ho tum bala ke baghawat-pasand talKH-kalam

KHud apne haq mein ek aazar ho gae ho tum

tumhaare sare sahaba ne tum ko chhoD diya

mujhe qalaq hai ki be-yar ho gae ho tum

ye bank-kar manager ye apne technocrat

koi bhi shubh nahin hain ye ek abas ka ThiThol

main KHud bhi in ko cro-magnon samajhti hun

ye shandar janawar hain daftaron ka maKHaul

main jaanti hun ki tum sun nahin rahe meri baat

samaj jhuT sahi phir bhi us ka pas karo

hai tum ko taish hai baalishtiyon ki ye duniya

to phir qarine se tum un ko be-libas karo

tum ek sada o barjasta aadmi Thahre

mizaj-e-waqt ko tum aaj tak nahin samjhe

jo chiz sab se zaruri hai wo main bhul gai

ye passport hai is ko sambhaal ke rakhna

jo ye na ho to KHuda bhi bashar tak aa na sake

so tum shuur ka apne kamal kar rakhna

meri shikast ke zaKHmon ki sozish-e-jawed

nahin raha mere zaKHmon ka ab hisab koi

hai ab jo haal mera wo ajab tamasha hai

mera azab nahin ab mera azab koi

nahin koi meri manzil pe hai safar darpesh

hai gard gard abas mujh ko dar-ba-dar pesh

Jaun Eliya

Tags

Post a Comment

0 Comments
* Please Don't Spam Here. All the Comments are Reviewed by Admin.
Post a Comment (0)

buttons=(Accept !) days=(20)

Our website uses cookies to enhance your experience. Learn More
Accept !
To Top