تمہاری منتظر یوں تو ہزاروں گھر بناتی ہوں
وہ رستہ بنتے جاتے ہیں کچھ اتنے در بناتی ہوں
جو سارا دن مرے خوابوں کو ریزہ ریزہ کرتے ہیں
میں ان لمحوں کو سی کر رات کا بستر بناتی ہوں
ہمارے دور میں رقاصہ کے پاؤں نہیں ہوتے
ادھورے جسم لکھتی ہوں خمیدہ سر بناتی ہوں
سمندر اور ساحل پیاس کی زندہ علامت ہیں
انہیں میں تشنگی کی حد کو بھی چھو کر بناتی ہوں
میں جذبوں سے تخیل کو نرالی وسعتیں دے کر
کبھی دھرتی بچھاتی ہوں کبھی امبر بناتی ہوں
مرے جذبوں کو یہ لفظوں کی بندش مار دیتی ہے
کسی سے کیا کہوں کیا ذات کے اندر بناتی ہوں
ثروت زہرا
tumhārī
muntazir yuuñ to hazāroñ
ghar banātī huuñ
vo
rasta bante jaate haiñ kuchh itne dar banātī huuñ
jo
saarā din mire ḳhvāboñ ko reza reza karte haiñ
maiñ
un lamhoñ ko sī kar raat kā bistar banātī huuñ
hamāre daur meñ raqqāsa ke paañv nahīñ hote
adhūre jism likhtī huuñ ḳhamīda sar banātī huuñ
samundar
aur sāhil pyaas kī zinda
alāmat haiñ
unheñ
maiñ tishnagī kī had ko bhī chhū kar banātī huuñ
maiñ
jazboñ se taḳhayyul ko nirālī
vus.ateñ de kar
kabhī dhartī bichhātī huuñ
kabhī ambar banātī huuñ
mire
jazboñ ko ye lafzoñ kī
bandish maar detī hai
kisī se kyā kahūñ kyā zaat
ke andar banātī huuñ