اسے تو پاس خلوص وفا ذرا بھی نہیں
مگر یہ آس کا رشتہ کہ ٹوٹتا بھی نہیں
گھرے ہوئے ہیں خموشی کی برف میں کب سے
کسی کے پاس کوئی تیشۂ صدا بھی نہیں
مآل غنچہ و گل ہے مری نگاہوں میں
مجھے تبسم کاذب کا حوصلہ بھی نہیں
طلوع صبح ازل سے میں ڈھونڈھتا تھا جسے
ملا تو ہے پہ مری سمت دیکھتا بھی نہیں
مری صدا سے بھی رفتار تیز تھی اس کی
مجھے گلہ بھی نہیں ہے جو وہ رکا بھی نہیں
بکھر گئی ہے نگاہوں کی روشنی ورنہ
نظر نہ آئے وہ اتنا تو فاصلہ بھی نہیں
سنا ہے آج کا موضوع مجلس تنقید
وہ شعر ہے کہ ابھی میں نے جو کہا بھی نہیں
سمٹ رہے ہیں ستاروں کے فاصلے انورؔ
پڑوسیوں کو مگر کوئی جانتا بھی نہیں
انور مسعود
use to
pas-e-KHulus-e-wafa zara bhi nahin
magar
ye aas ka rishta ki TuTta bhi nahin
ghire
hue hain KHamoshi ki barf mein kab se
kisi
ke pas koi tesha-e-sada bhi nahin
maal-e-ghunch-o-gul
hai meri nigahon mein
mujhe
tabassum-e-kazib ka hausla bhi nahin
tulu-e-subh-e-azal
se main DhunDhta tha jise
mila
to hai pa meri samt dekhta bhi nahin
meri sada
se bhi raftar tez thi us ki
mujhe
gila bhi nahin hai jo wo ruka bhi nahin
bikhar
gai hai nigahon ki raushni warna
nazar
na aae wo itna to fasla bhi nahin
suna hai
aaj ka mauzu-e-majlis-e-tanqid
wo
sher hai ki abhi main ne jo kaha bhi nahin
simaT
rahe hain sitaron ke fasle 'anwar'
paDosiyon
ko magar koi jaanta bhi nahin
Anwar
Masood